Pakistan President List Since 1947 || President List of Pakistan || All President List of Pakistan || Pakistan President List
Read More
Presidents of Pakistan
The list of Presidents of Pakistan is for
those people who want to know about Pakistani Presidents, what there
names are, and how many years the ruled in the country, In this page,
we are giving you all the information that you want to know. There are
11 Presidents until now in Pakistan. There were 7 Civilian Presidents
and 4 from Army. General Mohammad Zia Ul Haq has spent the longest
period as President; he spends about 10 years as President of Pakistan.
In these long 66 years of Pakistan Fazal Ilahi Chuhdari and Asif Ali
Zardari are the only presidents how has completed there 5 years as par
constitution. In this page, you will read List of Presedents of
Pakistan in Urdu .
List of Presidents of Pakistan
1- Iskander Mirza
Iskander Mirza ko mulik ka phela sadar
hone ka ayzaz hasil hai. Republican Party ki numaindagi karne wale
Iskandar Mirza ne 23 March 1956 se 27 October 1958 tak ye ahudah
sanbhala. Iskander Mirza ke pas Pakistan ke akhari Governor General hone
ka ayzaz bhi hai. 1956 ke ayein ke nifaz ke baad wo sadar bane thay.
Foji bagawat ke natije mein General Ayuob Khan ne October 1958 mein unhein ahudah chorne par majbor kar deya.
2- General Ayub Khan
General Ayub Khan 27
October 1958 se 8 June 1962 tak mulik ke dosre sadar ki haisiyat mein
zimedariyan anjam dete rahe. Unhone June 1962 se 25 March 1969 tak dosri
mudat e sadarat bhi ghuzari. Unhi ke dor e sadarat mein Pakistan ko
riwayati harif India ke khilaf tarikhi 1965 ki jang se ghuzarna para.
1969 mein shaded siyasi bhoran aur opposition ki ahtijaji therik ke
natije mein Ayub khan ko aqtedar chorna para tha.
3- General Yahya Khan
Pakistan ke 3rd Sadar General Yahya Khan
bane, un ki sadarat 25 March 1969 se shoro ho kar 20 December 1971 ko
akhtetam pazir hoi. Ayuob Khan ke istife ke bad mansab e sadarat
sanbhalne wale Yahya Khan ke dor mein saqute Dhaka ka saneha ronuma
hoa.
4- Zulfiqar Ali Bhutto
Peoples Party ke bani Zulfiqar Ali Bhutto
20 December 1971 ko Pakistan ke 4th sadar bane, un ki mudat e sadarat
13 August 1973 khatam hoi. Unhon ne sadar ke ahude se astifa de kar
1973 mein naye ayein ke nifaz ke bad wazarat e Uzma sanbhali. 1973 ke
ayein ke tehat mulik mein parlimani nizam e hukomat mutarif karaya
gaya.
5- Fazal Ilahai Chohdari
Fazal Ilahai Chohdari mulik ke 5th
sadar the. Un ka dor e sadarat 14 August 1973 se shoro ho kar 16
September 1978 ko mukamal hoa. 73 ke ayein ke tehet wo phele sardar
the. Parlimani nizam e hukomat ke tehet umor e mumlikat chalane ki
zimedari Wazir e Azam ko sonp di gai thi.
6- General Mohammad Zia ul Haq
Pakistan ke 6th sadar General Mohammad Zia
ul Haq the jihon ne foji baghawat ke tehet hukomat ka takhta ulta aur
anan e aqtedar sanbhali. Wo 16 September 1978 se 17 August 1988 tak
sadar e mumlikat rahe jo Pakistani sodor ki tarikh mein sab se ziyada
arse tak ki mudat ha. 1977 mein hukomat ka takhta ulatne ke bad Zia ul
Haq Chief Marshal Law administrator bhi rahe. 17 August 1988 ko fizai
hadese mein un ka inteqal hoa.
7- Ghulam Ishaq Khan
Zia ul Haq ki hadsati muat ke bad Ghulam
Ishaq Khan ne mansab e sadarat sanbhala, wo 17 August 1988 se July 1993
tak sadar rahe. Un ke dor mein qomi siyasat mein zabardast nasheb o
farz dekhne mein aye. Unhon ne aik bar Peoples Party ki hukomat ko
Benazir Bhoto ki wizarat e Uzma ke dor mein N league ki hukomat ko Nawaz
Sharif ki wazarat e Uzma mein bartarf kiya. Siyasi kashidgi ke bayis
1993 mein foj ko madakhilat karna pari aur us waqat ke Army Chief
General Waheed kakar ke khene par Wazir e Azam( jinhen Suprem Court ne
bahal kar deya tha) aur sadar Ghulam Ishaq Khan ko ghar jana para. Is
muqe par Waseem Sajad ko jo Chairman Senit the 3 mah ke leye Qaim muqam
sadar ki zimedariyan de gayein. Wo 18 July 1993 se le kar 14 November
1993 tak sadar rahe.
8-Farooq Ahmed Khan Laghari
Peoples Party ke Sadar Farooq Ahmed Khan
Laghari 14 November 1993 ko Pakistan ke 8th Sadar bane, un ka dor e
sadarat 2 December 1997 tak jari raha . Wazir e Azam Nawaz Sharif ki
hukomat se shaded akhtalafat ke bad unhen auhda chorna para. Apne dor e
sadarat mein Farooq Laghari ne apni hi party (Peoples Party) ki hukomat
ko bhi bar taraf kiya.Laghari ki janib se Peoples Party ki hukomat ko
khatam karne ka iqdam har aik ke leye intehai hairatnak tha, kyun ke wo
Peoples Party ki quaid Benazir Bhoto ke intehai qabil e ehtemad samjhe
jate the. Laghari ke istife ke bad aik bar phir Waseem Sajad ko ubori
sadar banaya gaya, 2 December 1997 se 1 January 1998 tak Waseem Sajjad dosri bar mulik ke ubori sadar bane.
9- Rafiq Tarar
1 January ko Muslim League (N) ki hukomat
ne Rafiq Tarar ko Pakistan ka 9th sadar banaya. Rafiq Tarar ne 2001
mein apne auhde se istifa deya. Apne dor e sadarat hi mein unhon ne
apni party N League ki hukomat ko is waqat ke Army Chief Pervez Musharaf
ke hathon khatam hote dekha.
10- General Pervez Musharaf
Army Chief Pervez Musharaf 20 June 2001 ko
Pakistan ke 10th Sadar bane, Pervez Musharraf ke auhda e Sadarat ki
pheli mudat 6 October 2007 ko khatam hoi. 2007 hi mein wo dobarah sadar
mutakhib kiye gaye, un ki dosri mudat e sadarat 18 August 2008 ko pori
hoi. October 1999 mein Nawaz Sharif ki wazarat e Uzma ke dor mein bator
Army Chief jamhori hukomat ko bar taraf kar ke iqtedar sanbhalne wale
Parvez Musharaf ka dor siyasi aur qomi satah par intehai hamgama kheiz
raha. Pervez Musharraf Army Chief ke sath Pakistan ke Chief executive
bhi rahe. Un hi dor mein tayarah sazish case mein qaid bhoghatne wale
Sharif khandan ko jila watan hona para. Dore sadarat mein hi un par kai
bar qatilana hamle keye gaye, jab ke 2007 mein Chief Justice Aftikhar
Chuhdri ko ahude se mazool karna, Aftikhar Chuhdri ke ankar, Emergency
ke nifaz, media par pabandi aur phir jajuon ki nazarbandi jese
waqiyat ne duniya bhar ko hila kar rakh deya.
27 December 2007 ko Peoples Party ki quaid
aur alami satah par Pakistan ki phechan bane wali Benazir Bhoto
intekhabi realy ke doran firing aur dhamake ke natije mein janbahaq
hoien. Itefaq ki baat ha ke jab Parvez Musharaf ne media par qoum se
khitab ke doran istife ka elan kiya to us waqat mulik mein Peoples Party
ki hi hukomat thi. Pervez Musharaf ke istefa dene ke bad us waqat ke
Chairman Senit aur Muslim league Q se taluq rakhne wale Mohammad Mian Soomro ko qaim muqam sadar banaya gaya, wo 18 August 2008 se 9 September 2008 tak sadar rahe.