Peach (Aaro Fruits)
Peach (Aaro) is a fruit which is full of vitamin A and C. Peach is very popular in Japan, Korea, Laos and Vietnam. Now a days peach is cultivated in 64 countries. In Pakistan peach is cultivated in Peshawar, Qallat, Quetta, Sawat and Kohistan. Peach is useful in many diseases. You can make jam, jelly and juice from peach. Peach is also helpful to glow your skin. In this page, you will read Peach Ke Faide, Peach fruits Benefits, Aaro Fruit In Urdu ,Peach Benefits In Urdu, in Roman HindiPeach Fruit In Urdu (Aaro Fruits In Urdu)
Japan, Korea, Laos aur Vietnam mein ye pahal bohat maqbol hai aur shoq se khaya jata hai. Is ke elawa bohat si lok kahaniyan aur riwayat bhi is se wabasta hain. Fi zamana aaro (peach) duniya ke 64 mumalik mein kasht kiya jata hai. Aloche ke bad ye dosra guthli dar phal hai jo sab se ziyadah pasand kiya jata hai. Jab ke farokht ke etebar se seab (apple) ke bad is ka number ata hai. Shumali elaqa jat meinye taqreban 4543 hekar raqbe par kasht kiya jata hai aur is ki salana pedawar 48284 ton hai. Quetta, Peshawar, Qallat, Sawat aur Kohistan ke makhsos elaqon mein is ki kasht ki jati hai aur wahan ke aaro (peach) ko pasandidgi ki nigah se dekha jata hai.
Duniya mein do iqsam ke aaro (peach) paye jate hain. Aik wo jis ki guthli asani se alehda hojati hai aur dosra wo jis ki guthli gude se chipki rehti hai aur asani se alag nahi hoti. Early ground, Florida king 6A aur 8A maqboliyat mein sab se aage hain. Jab ke Baluchistan mein golden early, shah pasand aur sherein ki kasht hoti hai.
Peach Benefits In Urdu (Peach Ke Faide In Urdu)
Aaro (peach) hayateen (vitamin) A aur C hasil karne ka behtaren zarya hai. Agar ese chilke ke sath khaya jaye to is se resha hasil hota hai. Doctor ese afonat (infection) dor karne wali bemariyon ke leye behtaren khayal karte hain aur ese marizon ke leye tajwiz karte hain jo afonat ka shikar hon.Mualijen ka kehna hai ke agar ese wo afrad khaein jin ke khun mein surkh zarat ki kami ho to unhen bhi faidah ho ga. Is ke elawa ye khoon mein cholesterol ko kam karta hai, dil ke awariz ke leye mufeed hai aur gurde ki bemariyon k odor karta hai. Aaro (peach) tibi etebar se aik beshbaha phal hai. Ese khane se peat ka dard jata rehta hai aur joron ke dard (gathya) mein bhi afaqa hota hai.
Ese mariz jin ke senon par balgham jama rehta hai aur is ki bina par wo hajyan ka shikar rehte hain wo aaro (peach) ko ubal kar chai ki tarah peyein to unhen sakon pohanche ga. Agar ese pabandi se khaya jaye to peshab ki pathari ka masla hal ho sakta hai aur peshab se munsalik degar bemariyon se bhi bacha jasakta hai.
Bemari ke bad waqeya hone wali kamzori mein aaro (peach) khane se tawanai bahal ho jati hai. Is ke elawa jab ap din dhale takan ka shikar hote hain aur tabyat mein azmahlal aur kasal mandi peda ho jati hai to aik ya do aaro (peach) khane se tabyat hashash bahsash ho jati hai.
Aaro (peach) mein chun ke phosphorus hota hai is leye ye asabi dabao mein bhi mufeed paya gaya hai aur ye asabi khalyon ke baqi tawazun ko bhi barkarar rakhta hai. Subah nashte se phele aaro (peach) khane se aanton mein terik peda hoti hai aur jigar ke afal dorust ho jate hain.
Nahar mun aaro (peach) khane se khoon ka PH level durust rehta hai, qowat e hazma ko taqwiyat deta hai aur aanton ke keron ko nikal kar phenkta hai.
Ye godod aur aza e tanasul ke sartan ke tadaruk ke leye bhi mufeed hota hai, chun ke is mein qawi hayaten A hota hai is leye ye jildi bafton ko azsare no janam deta hai.
Ye sun kar ap ko yaqenan heart hogi ke is ka pabandi se istemal ap ke rang o rup mein bhi nukhar peda karta hai.
Arro (peach) ki isi khososiyat ki bina par is keg ode se cream bani jati hai jo jild ki khubsorati ki afzaish ke leye karamad hai aur jild ki khushki k odor karti hai.
App ko ye bhi batate chalein ke aaro (peach) cholesterol mein kami karta hai, is leye is ke mustaqil khane se ap ka wazan bhi kam ho sakta hai. Khub pake howe aik aaro ke chilke mein kam iz kam das ese jaza hote hain jin se chiknai ki tehon ko dor karne ke elawa wazan mein bhi kami ki ja sakti hai.
Aaro (peach) ke chike ki afadiyat ke pesh e nazar ese chilke samet hi khaein, lekin khane se pesh tar ese achi tarah dho len, ta ke ap chilke mein chupe howe halakt khez jarasim se nijat pa len.
Sara saal aaro (peach) ke maze lene ke leye behtaren zarya jam, jelly aur juice hain. Ese in shaklon mein rakheye aur saal bhar lazat hasil karne ke elawa faide bhi uthaiye. Lekin kisi bemari ki sorat mein ese apne doctor ke mashware ke bad hi iatemal karein.
No comments:
Post a Comment