Pages

Monday, 30 December 2013

Pakistan President List Since 1947

Pakistan President List Since 1947 || President List of Pakistan || All President List of Pakistan || Pakistan President List
 

Presidents of Pakistan

The list of Presidents of Pakistan is for those people who want to know about Pakistani Presidents, what there names are, and how many years the ruled in the country, In this page, we are giving you all the information that you want to know. There are 11 Presidents until now in Pakistan. There were 7 Civilian Presidents and 4 from Army. General Mohammad Zia Ul Haq has spent the longest period as President; he spends about 10 years as President of Pakistan. In these long 66 years of Pakistan Fazal Ilahi Chuhdari and Asif Ali Zardari are the only presidents how has completed there 5 years as par constitution. In this page, you will read List of Presedents of Pakistan in Urdu . 

List of Presidents of Pakistan

Pakistani President House Photo

1- Iskander Mirza

   Iskander Mirza ko mulik ka phela sadar hone ka ayzaz hasil hai. Republican Party ki numaindagi karne wale Iskandar Mirza ne 23 March 1956 se 27 October 1958 tak ye ahudah sanbhala. Iskander Mirza ke pas Pakistan ke akhari Governor General hone ka ayzaz bhi hai. 1956 ke ayein ke nifaz ke baad wo sadar bane thay. Foji bagawat ke natije mein General Ayuob Khan ne October 1958 mein unhein ahudah chorne par majbor kar deya.

2- General Ayub Khan

  General Ayub Khan 27 October 1958 se 8 June 1962 tak mulik ke dosre sadar ki haisiyat mein zimedariyan anjam dete rahe. Unhone June 1962 se 25 March 1969 tak dosri mudat e sadarat bhi ghuzari. Unhi ke dor e sadarat mein Pakistan ko riwayati harif India ke khilaf tarikhi 1965 ki jang se ghuzarna para. 1969 mein shaded siyasi bhoran aur opposition ki ahtijaji therik ke natije mein Ayub khan ko aqtedar chorna para tha.

3- General Yahya Khan

  Pakistan ke 3rd  Sadar General Yahya Khan bane, un ki sadarat 25 March 1969 se shoro ho kar 20 December 1971 ko akhtetam pazir hoi. Ayuob Khan ke istife ke bad mansab e sadarat sanbhalne wale Yahya Khan ke dor mein saqute Dhaka ka saneha ronuma hoa.

4- Zulfiqar Ali Bhutto

Peoples Party ke bani Zulfiqar Ali Bhutto 20 December 1971 ko Pakistan ke 4th  sadar bane, un ki mudat e sadarat 13 August 1973 khatam hoi. Unhon ne sadar ke ahude se astifa de kar 1973 mein naye ayein ke nifaz ke bad wazarat e Uzma sanbhali. 1973 ke ayein ke tehat mulik mein parlimani nizam e hukomat mutarif karaya gaya.

5- Fazal Ilahai Chohdari

      Fazal Ilahai Chohdari mulik ke 5th  sadar the. Un ka dor e sadarat 14 August 1973 se shoro ho kar 16 September 1978 ko mukamal hoa. 73 ke ayein ke tehet wo phele sardar the. Parlimani nizam e hukomat ke tehet umor e mumlikat chalane ki zimedari Wazir  e Azam ko sonp di gai thi.

6- General Mohammad Zia ul Haq

Pakistan ke 6th sadar General Mohammad Zia ul Haq the jihon ne foji baghawat ke tehet hukomat ka takhta ulta aur anan e aqtedar sanbhali. Wo 16 September 1978 se 17 August 1988 tak sadar e mumlikat rahe  jo Pakistani sodor ki tarikh mein sab se ziyada arse tak ki mudat ha. 1977 mein hukomat ka takhta ulatne ke bad Zia ul Haq Chief Marshal Law administrator bhi rahe. 17 August 1988 ko fizai hadese mein un ka inteqal hoa.

7- Ghulam Ishaq Khan

Zia ul Haq ki hadsati muat ke bad Ghulam Ishaq Khan ne mansab e sadarat sanbhala, wo 17 August 1988 se July 1993 tak sadar rahe. Un ke dor mein qomi siyasat mein zabardast nasheb o farz dekhne mein aye. Unhon ne aik bar Peoples Party ki hukomat ko Benazir Bhoto ki wizarat e Uzma ke dor mein N league ki hukomat ko Nawaz Sharif ki wazarat e Uzma mein bartarf kiya. Siyasi kashidgi ke bayis 1993 mein foj ko madakhilat karna pari aur us waqat ke Army Chief General Waheed kakar ke khene par Wazir e Azam( jinhen Suprem Court ne bahal kar deya tha) aur sadar Ghulam Ishaq Khan ko ghar jana para.  Is muqe par Waseem Sajad ko jo Chairman Senit the 3 mah ke leye Qaim muqam sadar ki zimedariyan de gayein. Wo 18 July 1993 se le kar 14 November 1993 tak sadar rahe.

8-Farooq Ahmed Khan Laghari

  Peoples Party ke Sadar Farooq Ahmed Khan Laghari 14 November 1993 ko Pakistan ke 8th Sadar bane, un ka dor e sadarat 2 December 1997 tak jari raha . Wazir e Azam Nawaz Sharif ki hukomat se shaded akhtalafat ke bad unhen auhda chorna para. Apne dor e sadarat mein Farooq Laghari ne apni hi party (Peoples Party) ki hukomat ko bhi bar taraf kiya.Laghari ki janib se Peoples Party ki hukomat ko khatam karne ka iqdam har aik ke leye intehai hairatnak tha, kyun ke wo Peoples Party ki quaid Benazir Bhoto ke intehai qabil e ehtemad samjhe jate the. Laghari ke istife ke bad aik bar phir Waseem Sajad ko ubori sadar banaya gaya, 2 December 1997 se 1 January 1998 tak Waseem Sajjad dosri bar mulik ke ubori sadar bane.

9- Rafiq Tarar

   1 January ko Muslim League (N) ki hukomat ne Rafiq Tarar ko Pakistan ka 9th sadar banaya. Rafiq Tarar ne 2001 mein apne auhde se istifa deya. Apne dor e sadarat hi mein unhon ne apni party N League ki hukomat ko is waqat ke Army Chief Pervez Musharaf ke hathon khatam hote dekha.

10- General Pervez Musharaf

Army Chief Pervez Musharaf 20 June 2001 ko Pakistan ke 10th Sadar bane, Pervez Musharraf ke auhda e Sadarat ki pheli mudat 6 October 2007 ko khatam hoi. 2007 hi mein wo dobarah sadar mutakhib kiye gaye, un ki dosri mudat e sadarat 18 August 2008 ko pori hoi. October 1999 mein Nawaz Sharif ki wazarat e Uzma ke dor mein bator Army Chief jamhori hukomat ko bar taraf kar ke iqtedar sanbhalne wale Parvez Musharaf ka dor siyasi aur qomi satah par intehai hamgama kheiz raha. Pervez Musharraf  Army Chief ke sath Pakistan ke Chief executive bhi rahe. Un hi dor mein tayarah sazish case mein qaid bhoghatne wale Sharif khandan ko jila watan hona para. Dore sadarat mein hi un par kai bar qatilana hamle keye gaye, jab ke 2007 mein Chief Justice Aftikhar Chuhdri ko ahude se mazool karna, Aftikhar Chuhdri ke ankar, Emergency ke nifaz, media par pabandi  aur phir jajuon ki nazarbandi jese waqiyat ne duniya bhar ko hila kar rakh deya.
27 December 2007 ko Peoples Party ki quaid aur alami satah par Pakistan ki phechan bane wali Benazir Bhoto intekhabi realy ke doran firing aur dhamake ke natije mein janbahaq hoien. Itefaq ki baat ha ke jab Parvez Musharaf ne media par qoum se khitab ke doran istife ka elan kiya to us waqat mulik mein Peoples Party ki hi hukomat thi. Pervez Musharaf ke istefa dene ke bad us waqat ke Chairman Senit aur Muslim league Q se taluq rakhne wale Mohammad Mian Soomro ko qaim muqam sadar banaya gaya, wo 18 August 2008 se 9 September 2008 tak sadar rahe.

11- Asif Ali Zardari

   Peoples Party ki leader Benazir Bhutto ke qatal ke baad party ke sharik Chairman ki zamedariyan anjam dene wale Asif Ali Zardari 9 September 2008 ko Pakistan ke 11th sadar muntakhib hoye. Sadar Zardari ke dor ka aham ayeini kaam 18th tarmeem tha jis ke zariye Sadar ne apne tamam ikhteyarat wazir e Azam ke hawale kar deye.     

12- Mamnoon Hussain

Mamnoon Hussain takes oath as Pakistan President On 9Th September 2014

 



No comments:

Post a Comment

Followers

Follow The Author